Tafseer Ahsanul Kalaam Urdu Transliteration – Al Marfa Online Islamic Bookshop https://almarfa.in An Authentic Islamic Bookshop Wed, 14 Sep 2022 01:24:06 +0000 en-US hourly 1 https://wordpress.org/?v=6.6.1 https://almarfa.in/wp-content/uploads/2021/04/cropped-site-icon-32x32.png Tafseer Ahsanul Kalaam Urdu Transliteration – Al Marfa Online Islamic Bookshop https://almarfa.in 32 32 181643429 Buy Tafseer Ahsan Ul Kalaam Urdu Translation in Roman Script https://almarfa.in/shop/quran/tafseer-ahsan-ul-kalaam/ https://almarfa.in/shop/quran/tafseer-ahsan-ul-kalaam/#respond Sat, 18 Sep 2021 14:39:05 +0000 https://almarfa.in/?post_type=product&p=9810 Allah rabul izzat ke fazl-o-karam se Tafseer Ahsan Ul Kalaam jo ke urdu aur English mein Darussalam se shaa'e huyi hai bahut saare naujawaan ahbaab ke baarahaa israar par Maktaba Al-Usaid Hyderabad ise roman rasmul khat mein tayyaar karaake shaa'e kiya tha. Al hamdulillaah jise logon ne bahut pasand kiya. saath hi meri guzaarish ke mutaabiq qari'yeen pahle edition mein jahaan kami beshi nazar aayi usse aagah kiya jise iss doosre edition mein door kar diya gaya hai.

Iss tafseer ki numaayan khusoosiyat yeh hai ke:
  • Tafseeri ahaadees mein se beshtar ka ta'alluq sahihain se hai
  • Tafseeri hawaashi mein tafseer ibne kaseer, fatahul qadeer aur tafseer qurtubi se bhi istefaadah kiya gaya hai
  • Tafseer mein tamaam ahaadees-o-aqwaal ki takhreej, tanqeeh aur nazr-e-saani kardi gayi hai
  • "Ahsanul Kalaam" mein na to israayeli rivaayaat ke baa'is uktaa dene waali tafseel hai aur na iss qadar ikhtisaar ke ma'aani-o-mataalib tashnah rah jaayein.

Balke yun kaha jaaye ke aaj kal ke bhaag daud se bhari zindagi mein kam waqt mein qur'an majeed ko aasaani se samjha jaa sakta hai.

Main un tamaam afraad ka mashkoor-o-mamnoon hoon jinhon ne bhi iss tafseer ko roman rasmul khat mein tayyaar karne mein hamaara saath diya. bataur-e-khaas Abu Arqam Tarique Usaid Salafi ka jinhon ne tarjumah wa tafseer ko man mein karne ke saath saath bahut behtar andaaz mein setting kiya, saath hi apne hifz ke saathi "Hafiz Badar Anjum Salafi" ka bhi bahut mamnoon-o-mashkoor hoon ke jinhon ne masroofiyaat ke baa wajood do baar mukammal qur'an majeed ko padha aur iss mein kami beshi se aagah karaaya saath azizam.

"Hafiz Shariq Usaid Faizi" ka bhi mashkoor hoon ke mausoof ne bhi puri tarah se hamaara saath diya aur puri koshish ki ke qur'ani nuskhe mein koyi ghalti na rahne paaye.

Aakhir mein qari'yeen se guzaarish hai ke humne apne had tak puri koshish ki hai ke iss mein.

kisi qism ki ghalti na rahe.phir bashri taqaaze ko malhooz rakhte huye kaheen koyi ghalti nazar aaye to Maktaba ko aagaah karein taake Aaindah edition mein uss ghalti ko door kiya jaa sake. Maktaba aapka mashkoor hoga. Aakhir mein du'a hai ke Allah Ta'ala iss kitaab ko logon ke liye faayedah mand banaaye aur hum sab ke liye ise najaat ka zari'ah banaaye. Aameen

Buy Tafseer Ahsan Ul Kalaam

]]>
Tafseer Ahsan Ul Kalaam

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على رسوله الكريم وعلى آله واصحابه اجمعين و بعد

Rasoolullah Arne hajjatul wid’a ke moq’a par irshaad farmaya tha: “Yani mein tumhaare darmiyaan do aisi cheezein chhode jaa rahaa hoon ke agar un par amal karoge to kabhi bhi gumraah nahin hoge ek Allah ki kitab aur doosri meri sunnat.

(Rawaahul Hakim An Abi Hurairah wa hadees sahili) Allah Ta’ala ka fazl-o-karam hai qur’an-o-sunnat ko sabaaba kiraam ne seekha hifz kiya aur sane waalon ke haathon mein diya yeh silsilah huzooz jaari hai mutaqaddimeen mufassireen o-muhaddiseen-e-‘ezaam ke naqsh-e-qadam par chalte huye muta’akhkhireen ulamaa kiraam ne qur’an-o-hadees ke uloom ko dunya ke kone kone mein tamaam ahl-e-zabaan tak pahunchaane ka ‘azm kiya.

Bafzlihee Ta’ala aaj maktabaat-e-islamia mein sainkdon tafaaseer maujood hain jo sahih ahaadees aur sachche waaqe’aat ki raushni mein hamaari rahnumaayi kar rahin hain Darussalam Riyaaz” Allah Ta’ala iski hifaazat farmaaye qur’an-o-sunnat ki sahih tarjumaani aur aslaaf-e-ummat ki rawish ikhtiyaar karte huye saare aalam mein taqreeban tamaam zabaanon mein Allah ki kitab aur sunnat-e-Rasool ki khidmat anjaam dete aarahaa hai.

Kuch arsah qabl wahaan se ek tafseer banaam Ahsanul Kalam urdu mein chhapi mukhtasar hone ke baawajood apne ander jaama iyat rakhti hai aur aisa kyun na ho ke arabi, english ke maahir Dr. Taqiuddeen Al-Hilali rahimahullah aur Dr. Mohsin Khan hafizahullah iss tafseer ke asal murattib hain aur ise urdu mein muntagil karne waale Dr. Muhammad Ameen hafizahullah hain.

Jo ke jamia Saud Riyaaz ke faazileen mein se hain isi tarah urdu tafseer ki tayyaari mein bahut se afaazil ulamaa-e-kiraam shareek-e-kaar hain Alhamdullah yeh tafseer Ahsanul Kalam kaafi maqbooliyat ikhtiyaar kar gayai hai.

Buy Tafseer Ahsan Ul Kalaam

]]>
https://almarfa.in/shop/quran/tafseer-ahsan-ul-kalaam/feed/ 0 9810