Showing the single result

Buy Tafseer Ahsan Ul Kalaam Urdu Translation in Roman Script

680.00

Allah rabul izzat ke fazl-o-karam se Tafseer Ahsan Ul Kalaam jo ke urdu aur English mein Darussalam se shaa’e huyi hai bahut saare naujawaan ahbaab ke baarahaa israar par Maktaba Al-Usaid Hyderabad ise roman rasmul khat mein tayyaar karaake shaa’e kiya tha. Al hamdulillaah jise logon ne bahut pasand kiya. saath hi meri guzaarish ke mutaabiq qari’yeen pahle edition mein jahaan kami beshi nazar aayi usse aagah kiya jise iss doosre edition mein door kar diya gaya hai.

Iss tafseer ki numaayan khusoosiyat yeh hai ke:

  • Tafseeri ahaadees mein se beshtar ka ta’alluq sahihain se hai
  • Tafseeri hawaashi mein tafseer ibne kaseer, fatahul qadeer aur tafseer qurtubi se bhi istefaadah kiya gaya hai
  • Tafseer mein tamaam ahaadees-o-aqwaal ki takhreej, tanqeeh aur nazr-e-saani kardi gayi hai
  • Ahsanul Kalaam” mein na to israayeli rivaayaat ke baa’is uktaa dene waali tafseel hai aur na iss qadar ikhtisaar ke ma’aani-o-mataalib tashnah rah jaayein.

Balke yun kaha jaaye ke aaj kal ke bhaag daud se bhari zindagi mein kam waqt mein qur’an majeed ko aasaani se samjha jaa sakta hai.

Main un tamaam afraad ka mashkoor-o-mamnoon hoon jinhon ne bhi iss tafseer ko roman rasmul khat mein tayyaar karne mein hamaara saath diya. bataur-e-khaas Abu Arqam Tarique Usaid Salafi ka jinhon ne tarjumah wa tafseer ko man mein karne ke saath saath bahut behtar andaaz mein setting kiya, saath hi apne hifz ke saathi “Hafiz Badar Anjum Salafi” ka bhi bahut mamnoon-o-mashkoor hoon ke jinhon ne masroofiyaat ke baa wajood do baar mukammal qur’an majeed ko padha aur iss mein kami beshi se aagah karaaya saath azizam.

“Hafiz Shariq Usaid Faizi” ka bhi mashkoor hoon ke mausoof ne bhi puri tarah se hamaara saath diya aur puri koshish ki ke qur’ani nuskhe mein koyi ghalti na rahne paaye.

Aakhir mein qari’yeen se guzaarish hai ke humne apne had tak puri koshish ki hai ke iss mein.

kisi qism ki ghalti na rahe.phir bashri taqaaze ko malhooz rakhte huye kaheen koyi ghalti nazar aaye to Maktaba ko aagaah karein taake Aaindah edition mein uss ghalti ko door kiya jaa sake. Maktaba aapka mashkoor hoga. Aakhir mein du’a hai ke Allah Ta’ala iss kitaab ko logon ke liye faayedah mand banaaye aur hum sab ke liye ise najaat ka zari’ah banaaye. Aameen

Buy Tafseer Ahsan Ul Kalaam